The Ghazals

"vo aaye ghar me.n hamaare Khudaa kii qudrat hai kabhi ham un ko kabhii apane ghar ko dekhate hai.n" The beginnings of this evolution can be traced to the early 20th century. Many of its early exponents were classically trained singers who specialized in Khayaal and Thumri style of singing. However, unlike classical music which to this day is perceived as elitist, ghazals have become popular with the common man. Some of these ghazals have been backlinked to http://www.urdupoetry.com/.

Tuesday, June 27, 2006

Kahin Kahin Se Har Chehra - Lata Mangeshkar, Jagjit Singh, and Asha Bhosle

Movie Name: Dil Kahin Hosh Kahin
Lyric Name: Kahin Kahin Se Har Chehra
Lyricists: Nida Fazli
Music Director: Aadesh Shrivastava
Singer(s): Lata Mangeshkar, Jagjit Singh, and Asha Bhosle


Lata:
Kahin kahin se har chehra - 2
Tum jaisa lagta hai
Tumko bhool na paayenge hum
Aisa lagta hai, aisa lagta hai
Oh ho, oh oh, oh ho ho ho, oh

Jagjeet:
Aisa bhi ek rang hai, mm mm mm, oh oh
Aisa bhi ek rang hai
Jo karta hai baatein bhi
Jo bhi isko pehn le
Voh apna sa lagta hai
Tumko bhool na paayenge hum
Aisa lagta hai
Kahin kahin se har chehra
Tum jaisa lagta hai
Tumko bhool na paayenge hum
Aisa lagta hai, aisa lagta hai

Asha:
Sa sa sa ga ga ga ga ga pa ma, aah - 2
Re re re re re,
Ma pa ga, ga ma re, re ga sa
Aur to sab kuch theek hai lekin - 2
Kabhi kabhi yunhi chalta phirta shaher
Achaanak, achaanak tanha lagta hai
Tumko bhool na paayenge hum
Aisa lagta hai
Kahin kahin se har chehra
Tum jaisa lagta hai
Tumko bhool na paayenge hum
Aisa lagta hai, aisa lagta hai

Lata:
Ab Bhi yun milte hain humse phool chameli
Jaise inse apna koi - 2
Rishta lagta hai
Tumko bhool na paayenge hum
Aisa lagta hai
Kahin kahin se har chehra
Tum jaisa lagta hai
Tumko bhool na paayenge hum
Aisa lagta hai, aisa lagta hai
Oh ho, aah aah aah, oh ho ho ho ho, ohOh oh, aah aah aah aah

In Aankhon Ki Masti - Asha Bhosale

Movie Name: Umrao Jaan
Lyric Name: In Aankhon Ki Masti
Lyricists: Shahryar
Music Director: Khaiyyam
Singer(s): Asha Bhosle


In aankhon ki masti ke,
aah aah aah aah
In aankhon ki masti ke mastaane hazaaron hain
Mastaane hazaaron hain
In aankhon se vaabasta
In aankhon se vaabasta afsaane hazaaron hain
Afsaane hazaaron hain
In aankhon ki masti ke

Ek tum hi nahin tanha, aah aah
Ek tum hi nahin tanha
ulfat mein meri rusva
Ulfat mein meri rusva
Is shaher mein tum jaise
Is shaher mein tum jaise deewaane hazaaron hain
Deewaane hazaaron hain
In aankhon ki masti ke
mastaane hazaaron hain
In aankhon ki masti ke, aah aah aah

Ek sirf humi mai ko,
ek sirf humi
Ek sirf humi mai ko
aankhon se pilaate hain
Aankhon se pilaate hain
Kehne ko to duniya mein
Kehne ko to duniya mein maikhaane hazaaron hain
Maikhaane hazaaron hain
In aankhon ki masti ke
mastaane hazaaron hain
In aankhon ki masti ke

Is shamm-e-faroza ko, aah aah
Is shamm-e-faroza ko
aandhi se darraate ho
Aandhi se darraate ho
Is shamm-e-faroza ke
Is shamm-e-faroza ke parvaane hazaaron hain
Parvaane hazaaron hain
In aankhon ki masti ke
mastaane hazaaron hain
In aankhon se vaabasta
afsaane hazaaron hain
Afsaane hazaaron hain
In aankhon ki masti ke...

Dil Cheez Kya Hai - Asha Bhosale

Movie Name: Umrao Jaan
Lyric Name: Dil Cheez Kya Hai
Lyricist: Shahryar
Music Director: Khaiyyam
Singer(s): Asha Bhosle


Aa aa aa aa, aa aa aa
Dil cheez kya hai aap meri jaan lijiye - 2
Bas ek baar mera kaha
Bas ek baar mera kaha maan lijiye - 2
Dil cheez kya hai aap meri jaan lijiye

Is anjuman mein aap ko
Is anjuman mein,
aah, aah aah aah
Is anjuman mein aap ko
Is anjuman mein aap ko
aana hai baar baar
Aana hai baar baar
Deevaar-o-dar ko gaur se
Deevaar-o-dar ko gaur se pehchaan lijiye - 2
Dil cheez kya hai aap meri jaan lijiye

Maana ke doston ko nahin
Doston, ko nahin
Maana ke doston ko nahin dosti ka paas
Lekin yeh kya ke gair ka
Lekin yeh kya ke gair ka ehsaan lijiye - 2
Dil cheez kya hai aap meri jaan lijiye

Kahiye to Kahiye to aasmaan ko
Kahiye to aasmaan ko zameen par utaar laaye
Mushkil nahin hai kuch bhi
Mushkil nahin hai kuch bhi agar thaan lijiye - 2
Dil cheez kya hai aap meri jaan lijiye
Bas ek baar, bas ek baar
Bas ek baar mera kaha maan lijiye
Maan lijiye, maan lijiye