The Ghazals

"vo aaye ghar me.n hamaare Khudaa kii qudrat hai kabhi ham un ko kabhii apane ghar ko dekhate hai.n" The beginnings of this evolution can be traced to the early 20th century. Many of its early exponents were classically trained singers who specialized in Khayaal and Thumri style of singing. However, unlike classical music which to this day is perceived as elitist, ghazals have become popular with the common man. Some of these ghazals have been backlinked to http://www.urdupoetry.com/.

Tuesday, June 27, 2006

In Aankhon Ki Masti - Asha Bhosale

Movie Name: Umrao Jaan
Lyric Name: In Aankhon Ki Masti
Lyricists: Shahryar
Music Director: Khaiyyam
Singer(s): Asha Bhosle


In aankhon ki masti ke,
aah aah aah aah
In aankhon ki masti ke mastaane hazaaron hain
Mastaane hazaaron hain
In aankhon se vaabasta
In aankhon se vaabasta afsaane hazaaron hain
Afsaane hazaaron hain
In aankhon ki masti ke

Ek tum hi nahin tanha, aah aah
Ek tum hi nahin tanha
ulfat mein meri rusva
Ulfat mein meri rusva
Is shaher mein tum jaise
Is shaher mein tum jaise deewaane hazaaron hain
Deewaane hazaaron hain
In aankhon ki masti ke
mastaane hazaaron hain
In aankhon ki masti ke, aah aah aah

Ek sirf humi mai ko,
ek sirf humi
Ek sirf humi mai ko
aankhon se pilaate hain
Aankhon se pilaate hain
Kehne ko to duniya mein
Kehne ko to duniya mein maikhaane hazaaron hain
Maikhaane hazaaron hain
In aankhon ki masti ke
mastaane hazaaron hain
In aankhon ki masti ke

Is shamm-e-faroza ko, aah aah
Is shamm-e-faroza ko
aandhi se darraate ho
Aandhi se darraate ho
Is shamm-e-faroza ke
Is shamm-e-faroza ke parvaane hazaaron hain
Parvaane hazaaron hain
In aankhon ki masti ke
mastaane hazaaron hain
In aankhon se vaabasta
afsaane hazaaron hain
Afsaane hazaaron hain
In aankhon ki masti ke...