Selected Shayaris
- kal huaa qatl shahar jis ke sabab
husn ab bhii usii singaar me.n thaa - subah raato.n me.n bikhar jaatii hai
shaam baaho.n me.n utar jaatii hai
din sulag uThataa hai chandan kii tarah
raat naagan sii lipaT jaatii hai
qaafile se mujhe rahane do alag
bhii.D me.n ruuh bikhar jaatii hai - Apna Koi mile to galese Laga.e.eye
Kya kya kahenge Log, Use Bhool Ja.e.eye
Pehle Nazar Mila.e.ye Phir Dil Mila.e.eye,
Mil jaye dil se dil to, Galese laga.e.eye - ilzaam kyaa hai ye bhii na jaanaa tamaam umr
mulzim tamaam umr havaalaat hii me.n thaa - vo bhii shaayad ro pa.De viiraan kaaGaz dekh kar
mai.n ne us ko aaKhirii Khat me.n likhaa kuchh bhii nahii.n - vo aaj bach ke nikalate hai.n mere saaye se
ki mai.n ne jin ke liye Ghum kii dhuup jhelii thii - vo jhuk ke phir merii turbat pe kar rahe hai.n salaam,
isii adaa ne to "Shayar" kii jaan le lii thii [turbat : grave] - ham ne to nisaar kar diyaa dil
ab jaane vo shoKh yaa na jaane
[nisaar : offer] - ab ye hogaa shaayad apanii aag me.n Khud jal jaa_e.nge
tum se duur bahut rah kar bhii kyaa paayaa kyaa paa_e.nge
dukh bhii sachche sukh bhii sachche phir bhii terii chaahat me.n
ham ne kitane dhoke khaa_e kitane dhoke khaa_e.nge
aql pe ham ko naaz bahut thaa lekin ye kab sochaa thaa
ishq ke haatho.n ye bhii hogaa log hame.n samajhaa_e.nge - Tere bare me jab socha nahi tha
main tanaha tha magar Utna nahi tha
Teri tasweer se karata tha baatein,
mere kamare mein aaina nahi tha.
samundar ne muze pyaasa hi rakha,
main jab sehara mein tha, pyaasa nahi tha.
[sehara : desert]
<< Home