The Ghazals

"vo aaye ghar me.n hamaare Khudaa kii qudrat hai kabhi ham un ko kabhii apane ghar ko dekhate hai.n" The beginnings of this evolution can be traced to the early 20th century. Many of its early exponents were classically trained singers who specialized in Khayaal and Thumri style of singing. However, unlike classical music which to this day is perceived as elitist, ghazals have become popular with the common man. Some of these ghazals have been backlinked to http://www.urdupoetry.com/.

Sunday, September 9, 2007

Some more Shayaris

jo kuchh kaho qubuul hai taqaraar kyaa karuu.N,

sharmindaa ab tumhe.n sar-e-baazaar kyaa karuu.N

[qubuul=accept;taqaraar=argument;sar-e-baazaar=in public]

is haal me.n bhii saa.Ns liye jaa rahaa huu.N mai.n

jaataa nahii.n hai aas kaa aazaar kyaa karuu.N

[aas = hope; aazaar = illness/woe]

Thaanii thii dil me.n ab na mile.nge kisii se ham

par kyaa kare ke ho gaye naachaar jii se ham

[Thaananaa = to firmly decide; naachaar = helpless]

mujhase milane ke vo karataa thaa bahaane kitane

ab guzaaregaa mere saath zamaane kitane

mai.n giraa thaa to bahut log ruke the lekin

sochataa huu.N mujhe aaye the uThaane kitane

jis tarah mai.n ne tujhe apanaa banaa rakkhaa hai

sochate ho.nge yahii baat na jaane kitane

tum nayaa zaKhm lagaa_o tumhe.n is se kyaa hai

bharane vaale hai.n abhii zaKhm puraane kitane

[zaKhm = wound]

tum saraapaa ho suurat-e-tasviir

tum se phir baat kyaa kare ko_ii

[saraapaa = from head to toe; suurat-e-tasviir = like a picture]

Yun to har Dil mein Ek Kwahish Hoti Hai,

Har Chah Mein Ek Kashish Hoti Hai,

Mumkin nahi hai har kisiko Taj Mahal Banana,

Magar har Dil mein ek Mumtaz Hoti hai. Kaun hai Jisne May Nahi Pi Hai,

Kaun Jhuthi Kasam Uthata Hai,

Maikadese Jo Bach Nikalta Hai,

Teri Aankhonmein Doob Jaata Hai.

[Maikada - Sharabkhana, May - Sharab]

Rangat Teri Zulphonki Ghataon ne Chura.ee,

Khushbu Tere Aanchalse Hawaon ne Uda.ee

Paimane Ka Dil Tut Na Jaaye To Kahoon main,

Hai Cheez Gajabki Jo Nigahonne Pila.ee

Qaidi Teri Zulphonka Hai Aazad Jahanse,

Muzko Yeh Riha.e To Sajaon.ne Dila.e.e

Thamthamkae Barasana Kabhi Jamjamke Barasana,

Saawanko Ada yeh mere Ashkonen Sikha.ee

Lutake Rah-E-Muhabbat Mein, Har Khushi Maine,

Liya Hai Ghum Ka Saharaa, Abhi Abhi Maine.

Na Jaane Kyon Tere Chashm-e-karam Ko Sah Na Saka,

Tere Sitam To Sahe The Hansi-Khushi Maine.

Aahatsi Koi Aaye, To Lagata Hai Ke Tum Ho,

Saaya Koi Leharaye, To Lagata Hai Ke Tum Ho.

Sab Chamanse Gulaab Le Aaye, Husnwale Shabab Le Aaye,

Shekhsaahabne Maangli Jannat, Hum Wahanse Sharaab Le Aaye.

Chumkar Madbhari Aankhonse Gulaabi Kaagaj,

Usne Bheja Hai Mere Naam Jawabi Kaagaj.

Uska Khat Paatehi Maikhaneki Yaad Aati Hai,

Uske Chhunese Hua Sara, Sharaabi Kaagaj.

Beparda nazar Aayi, Jo Kal Chand Beewiyan,

Akbar Jameenme Gairat-e-Quomi se Gad Gaya,

Puchha Jo Maine Aapaka Parda Wo Kya Hua,

Kehne Lago Ke Akl Pe Mardonki Pad Gaya.

Nikalona Benaqaab, Jamana Kharaab Hai,

Aur Uspe Yeh Shabaab, Jamana Kharaab Hai.

Matlab Chhupa Hua Hai, Yahan Har Sawal Mein,

Do Sochkar Jawaab, Jamana Kharab Hai.

Is Rang Badalti Duniya Mein, Insaan ki Neeyat Theek nahi,

Nikalana Karo Tum Sajdhajkar, Imaan ki Neeyat Theek nahi.

Yeh Dil hai Bada hi Deewana, Chheda na Karo Is Paagalko,

Tumse na shararat Kar baithe, Naadan Ki Neeyat Theek nahi.

Kaandhe se Hata lo Sar Apna, Yeh Pyaar Muhabbat Rehane Do,

Kashti ko Sambhalo maujon se, Tufaan ki Neeyat Thik Nahi.

Main kaise Khuda Hafiz Kah doon, Muzko To Kisika Yakeen Nahi,

Chhup jao Hamari Aankhon me, Bhagwaan ki Neeyat Theek Nahi.