The Ghazals

"vo aaye ghar me.n hamaare Khudaa kii qudrat hai kabhi ham un ko kabhii apane ghar ko dekhate hai.n" The beginnings of this evolution can be traced to the early 20th century. Many of its early exponents were classically trained singers who specialized in Khayaal and Thumri style of singing. However, unlike classical music which to this day is perceived as elitist, ghazals have become popular with the common man. Some of these ghazals have been backlinked to http://www.urdupoetry.com/.

Wednesday, January 25, 2006

hangaamaa hai kyuu.N barpaa tho.Dii sii jo pii lii hai - Akbar Allahabadi

hangaamaa hai kyuu.N barpaa tho.Dii sii jo pii lii hai
Daakaa to nahii.n Daalaa chorii to nahii.n kii hai

naa-tajurbaakaarii se vaa_iz kii ye baate.n hai.n
is rang ko kyaa jaane puuchho to kabhii pii hai

us mai se nahii.n matalab dil jis se hai begaanaa
maqasuud hai us mai se dil hii me.n jo khi.nchatii hai

vaa.N dil me.n ki sadame do yaa.N jii me.n ke sab sah lo
un kaa bhii ajab dil hai meraa bhii ajab jii hai

har zarraa chamakataa hai anavaar-e-ilaahii se
har saa.Ns ye kahatii hai ham hai.n to Khudaa bhii hai

suuraj me.n lage dhabbaa fitarat ke karishme hai.n
but ham ko kahe kaafir allaah kii marzii hai